Zindagi | Hinglish Poem| Feelings| Meenal Grover

zindagi kisko nahi jini parhti
zinda reh kar bhi kisko nahi marna parhta
Khamoshi kiski jindagi mein nahi ati
Judai kiske sang nahi hoti

Haseen pal kab khatam nahi hote
Yeh hoth kab nahi muskurate

Jina toh fir bhi parhta hai
Bicharhna toh fir bhi parhta h
Jo na bichrhe wo ban gaye jindagi
Jo bicharh gaye the kabhi nahi

Rut toh badalti hi rahengi
Asun toh behte hi rahenge

Katna toh har pal parhta hai
Sehna toh har gum parhta hai
Thukra deti hai yeh zindagi
Larhkrha deti hai yeh zindagi

Yeh toh karva hai khilkhilayat aur asuno ka
Yeh ek rah hai sidha sa
Chalte rahe toh na jane kya thama degi yeh tumhe
Ruk gaye toh bikher degi yeh tumhe


Kabhi rula deti hai yeh zindagi
Toh kabhi hasa deti hai yeh zindagi

Yeh asuno ko sametna bhi sikha jati hai
Hasi ko batorna bhi bta jati hai

By Meenal Grover
Khushnasib ho tum..
Ki yeh hazar mauke jine ko deti hai
Khushnasib ho tum
Marte dum tak rah dikhati h yeh tumhe

Girati bhi h yeh tumhe
Sambhalti bhi h
Kya nahi batati h ye tumhe
Ab btao kya haseen nahi hoti yeh zindagi ?