zulm-e-jahan....meri zubani| Hindi Poem| Chainika Das




By Chainika Das

achchhi seekh sikhayi mujhe
in duniya walon ne,
meri bhavnaon k sath
khoob khilwad kiya jinhone.


jab bhi mujhe  tanha paaya,
jhuth muth ka sahara diya,
fir apna ullu seedha kar
mujhe tanhai ko saunp diya.


bholapan bana meri kamzori,
fir bhi maine sadgi na chhodi,
jab tak na dukh-dard se
sampoorn hui zindagi meri.


khoob jataya khoob sataya
avsar jo unhone tha paya.
uspar maine bawri bankar 
apna istemal bhi karvaya. 


mana ye insan hain,
swarth mein andhe hote hain.
fir kya uparwala bhi mujh par 
nirdayi bankar baitha hai?